Thursday, November 8, 2007

Sleepless eyes...



Iss raat main jagti aankhoon ko zara ghooor se daikhoo..

Inn main buhat se khuwab soo rahay hain..

Agar aankhaain so gayen tou khwab jag jayen gay

Khuwab tou azaab hain na

Khwaboon ke azaaboon ka daar hee mughe soonay nahe daita

Agar dono !

Khwab or aankhain jag gayen tou,

Azaab kon jheelay gaa?

Aankhaain ya main ?

Issi liye main soo jata hunn

Orr aankhain jagti rehti hain….


3 comments:

Anonymous said...

...aap jahan bhi rahain
aap humaray tu hain
khawb adhoray sahee
khawb sahary tu hain...
janay phir kab milain
tairay maiary rastay
aas totti nahin
yaad itna rahay
raat dhalni tu hay.....agay ujala tu hay

Pixie said...

whats new shamur

WritingsForLife said...

quite a complex poem..
must say, there are some intense emotions right here :)